|
Menu
|
|
|
Social
|
|
|
|
Intzaar
Contributed by
puregold
on
Friday, 22nd October 2010 @ 11:52:04 AM in AEST
Topic:
LovePoetry
|
Intzaar shehar ka haseen manjar hai charon taraf haseeno ka mela hai fiza me mastiyon ka aalam hai fir bhi banda akela hai.....
is tanhai se lagne laga hai darr na khud ki khabar hai na zamane ki phikr abb aasan nahi rah gaya hai dagar aa bhi jao saath mere ban jao mere humsafar.....
tanha dil ka tumhe bhi hoga ehsaas hakikatan kuch majburiyan hai apne paas sitmgar itne beraham to tum bhi nahi tere dil me bhi hogi milan ki aas.....
alfaazo ko maine kagaz pe utara hai armaano ko in palkon pe sanwara hai teri berukhi abb bardasht nahi hoti mujhse mera to har lamha bas tumhara hai....
mumkin hai tumhe pata na ho kis kadar hai mujhe tera intzaar meri chahat pe shayad yakin na ho chalo isse bhi kiya maine iqraar.....
ae ajnabi apni mohabbat par lekin nacheej ko itna to hai etbaar pakar is masoom nadaan aashiki ko tum bhi na kar sakoge kabhi inkaar....
ye kya...!
lafzon me is kadar izhaar karke kyun khud ko bechain kiya jaa raha hoon apni tahayion se larte larte yun laga, khud ko aur tanha kiye jaa raha hoon....
chalo abb,
Haal-E-Dil ka bayaan to chalta rahega, banda tujhse yun hi baatein karta rahega. khud to so jati hai,mujhe bhi sone de zaalim, is intzaar me na jaane kitni raatein jaagta rahega........
Copyright ©
puregold
... [
2010-10-22 11:52:04] (Date/Time posted on
site)
Advertisments:
|
|
|
|
|
Sorry, comments are no longer allowed for anonymous, please register for a free membership to access this feature and more
|
|
All comments are owned by the poster. Your Poetry
Dot Com is not responsible for the content of any
comment. That said, if you find an offensive comment, please
contact via the FeedBack Form with details, including poem title
etc.
|
|
|
|